Friday, October 16, 2015

Tajdar-e-Haram Lyrics

Qismat mein meri chain se jeena likh de
Doobe naa kabhi mera safeena likh de
Jannat bhi gawaarah hai magar mere liye
Ay kaatib-e-taqdeer madeena likh de

Tajdaar-e-haram
Tajdaar-e-haram ho nigaah-e-karam
Tajdaar-e-haram ho nigaah-e-karam
Ham ghareebon ke din bhi sanwar jaaenge
Haami-ye be-kasaan kya kahega jahaan
Haami-ye be-kasaan kya kahega jahaan
Aap ke dar se khaali agar jaaenge
Tajdaar-e-haram
Tajdaar-e-haram

Koyi apna nahin gham ke maare hain ham
Koyi apna nahin gham ke maare hain ham
Aap ke dar pe faryaad laaye hain ham
Ho nigaah-e karam warna chaukhat pe ham
Ho nigaah-e karam warna chaukhat pe ham
Aap ka naam le le ke mar jaaenge
Tajdar-e haram
Tajdar-e haram

Kya tumse kahoon ay 'arab ke kunwar
Tum jaante ho man ki batiyaan
Dar furqat-e to ay ummi-laqab
Kaate nah kate hain ab ratiyaan
Tori preet mein sudh-budh sab bisri
Kab tak yih rahegi be-khabari
Gaahe ba-figan duzdeedah nazar
Kabhi sun bhi to lo hamari batiyaan
Aap ke dar se koyi na khaali gaya
(Aap ke dar se koyi na khaali gaya)
Aap ke dar se koyi na khaali gaya
Apne daaman ko bhar ke sawaali gaya
(O.. apne daaman ko bhar ke sawaali gaya)
Ho habeeb-e hazeen
Ho habeeb-e hazeen par bhi aaqa nazar
Warna auraaq-e hasti bikhar jaaenge
(Ho habeeb-e hazeen par bhi aaqa nazar
Warna auraaq-e hasti bikhar jaaen ge)
Tajdar e haram
Tajdar e haram


Mai-kasho aao aao madeene chalein
(Madeene chalen
Madeene chalen
Madeene chalen)
Mai-kasho aao aao madeene chalein
(Madeene chalen
Madeene chalen
Madeene chalen)

Aao madeene chalen
Aao madeene chalen
Isi maheene chalen
Aao madeene chalen
(Aao madeene chalen
Aao madeene chalen
Isi maheene chalen
Aao madeene chalen)

Tajalliyon ki ajab hai faza madeene mein
(Tajalliyon ki ajab hai faza madeene mein)
Nigaah-e shauq ki hai intiha madeene mein
(Nigaah-e shauq ki hai intiha madeene mein)
Gham-e hayaat nah khauf-e qaza madeene mein
(Gham-e hayaat nah khauf-e qaza madeene mein)
Namaaz-e ishq karenge ada madeene mein
(Namaaz-e ishq karenge ada madeene mein)
Ba-raah-e raast hai raah-e Khuda madeene mein

Aao madeene chalen
Aao madeene chalen
Isi maheene chalen
Aao madeene chalen

Mai-kasho aao aao madeene chalen
(Mai-kasho aao aao madeene chalen)
Dast-e saaqi-ye kausar se peene chalen
(Dast-e saaqi-ye kausar se peene chalen)

Yaad rakkho agar
Yaad rakkho agar
(Yaad rakkho agar
Yaad rakkho agar

Uṭh gayi ik nazar
Jitne khaali hain sab jaam bhar jaaenge
(Yaad rakkho agar uth gayi ik nazar)
Woh nazar jitne khaali hain sab jaam bhar jaaenge
Tajdar-e-haram
Tajdar-e-haram

Khauf-e toofaan hai bijliyon ka hai ḍar
(Khauf-e toofaan hai bijliyon ka hai ḍar)
Sakht mushkil hai aaqa kidhar jaaen ham
(Sakht mushkil hai aaqa kidhar jaaen ham)
Aap hi gar na lenge hamaari khabar
Ham museebat ke maare kidhar jaaenge
(Aap hi gar na lenge hamaari khabar
Ham museebat ke maare kidhar jaaenge
Taajdar e haram
Taajdar e haram)

Ya Mustafa ya Mujtaba irham lana, irham lana
Dast-e hamah be-chaara ra
Daamaan tu-hi, daamaan tu-hi
Man 'aasi-yam man 'aajiz-am
Man be-kas-am haal-e mara
Pursaan to-ye pursaan to-ye
Ay mushk-bed 'ambar-fishaan
Paik-e naseem-e subh-dam
Ay chaarah-gar 'eesa-nafas
Ay moonis-e beemaar-e gham
Ay qaasid-e farkhundah pah
Tujh ko usi gul ki qasam
In nalti ya reeh as-saba
Yauman ila ard il-haram
Balligh salaami raudatan
Feeh an-nabi yul-mohtaram

Taajdaar-e-haram ho nigaah-e karam
(Taajdaar-e haram ho nigaah-e karam)
Ham gharibon ke din bhi sanwar jaaen ge
Haami-ye be-kasaan kya kahega jahaan
(Haami-ye be-kasaan kya kahega jahaan)
Aap ke dar se khaali agar jaaen ge
Taajdaar-e haram
Taajdaar-e haram
Taajdaar-e haram...


Thanx all friends for more update share our webpage

No comments:

Post a Comment